• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Arz-E-Niyaz-E-Ishq Ke Qabil Nahin Raha

Arz-E-Niyaz-E-Ishq Ke Qabil Nahin Raha

mirza-ghalib

arz-e-niyaz-e-ishq ke qabil nahin raha

jis dil pe naaz tha mujhe vo dil nahin raha

Incapable of voicing lovelorn longing as before

No longer is my heart the same that did me proud of yore

jaata huun dagh-e-hasrat-e-hasti liye hue

huun sham-e-kushta dar-khur-e-mahfil nahin raha

I leave bearing the scars of life’s desires unfulfilled

I am a candle extinguished and from the room dispelled

marne ki ai dil aur hi tadbir kar ki main

shayan-e-dast-o-bazu-e-qatil nahin raha

Find yet another way to die o heart

For worthy of the killer’s hand no longer I remain

bar-ru-e-shash-jahat dar-e-aina baaz hai

yaan imtiyaz-e-naqis-o-kamil nahin raha

In all the six directions, doors of mirror God conjures

the fiction of faulty and flawless no longer obscures

va kar diye hain shauq ne band-e-naqab-e-husn

ghair-az-nigah ab koi haail nahin raha

My passion caused her veil to drop her face can now be seen

But for my vision there exists now nothing in between

go main raha rahin-e-sitam-ha-e-rozgar

lekin tire khayal se ghafil nahin raha

In tyranny of livelihood athough enmeshed I’d be

But every moment even then your thought remained with me

dil se hava-e-kisht-e-vafa mit gai ki vaan

hasil sivae hasrat-e-hasil nahin raha

Gone from this heart the wish for faithfulness to be instilled

For nothing grew from it except desires unfulfilled

bedad-e-ishq se nahin darta magar ‘asad’

jis dil pe naaz tha mujhe vo dil nahin raha

I wouldn’t have been frightened of love’s injustices but for

No longer is my heart the same that did me proud of yore

har-chand main huun tuti-e-shirin-sukhan vale

aina aah mere muqabil nahin raha

jan-dad-gan ka hausla fursat-gudaz hai

yaan arsa-e-tapidan-e-bismil nahin raha

huun qatra-zan ba-vadi-e-hasrat shabana roz

juz tar-e-ashk jada-e-manzil nahin raha

ai aah meri khatir-e-vabasta ke siva

duniya men koi uqda-e-mushkil nahin raha

andaz-e-nala yaad hain sab mujh ko par ‘asad’

jis dil pe naaz tha mujhe vo dil nahin raha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jab Hamein Izn Tamasha Hoga

KHwabon Ka Sailab Nahin Dekha Jata

Rah-E-Wafa Mein Rahe Ye Nishan-E-KHatir Bas

Agarche Sab Se Milegi Tumhaari Shahzadi

Mera Wahm-O-Guman Rahne De

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet