talḳh lamhāt meñ jiyā huā hai
maiñ ne ye kaam bhī kiyā huā hai
kyā kuredā hai apne zaḳhmoñ ko
yā koī aur sāneha huā hai
kuchh dinoñ se maiñ iztirāb meñ huuñ
kuchh dinoñ se ye silsila huā hai
aise lahje meñ mujh se baat na kar
āj-kal merā sar phirā huā hai
ek sajda hai tishna-e-masjūd
ek sajda abhī adā huā hai
ab talak zā.iqa nahīñ utrā
maiñ ne ik ghūñT hī piyā huā hai
pyaar meñ ‘roz’ e’tidāl kahāñ
ibtidā kī to intihā huā hai