kuchh chup hain aa.ina jo vo har baar dekh kar
kuḌhte hain apni chashm ko bimar dekh kar
asan nahin mo.amla us puḳhta-kar se
leta hai jins-e-dil ko bhi sau baar dekh kar
nazan hai apni quvvat-e-bazu pe kis qadar
paikan ki ja vo siine men sufar dekh kar
rote hain apne haal pe phir kyuun ye na-sipas
kahta hai miri chashm-e-guhar-bar dekh kar
‘arif’ bhare hue hain mazamin-e-dard-o-gham
ḳhush hove kya koi mire ash.ar dekh kar
Leave a Reply