sada za-faiz-e-asar ḳhamushi na ban jaa.e
jo baat kah na sakun aap hi na ban jaa.e
kis intizar men hai ghar ka band darvaza
hava bhi saya-e-zanjir hi na ban jaa.e
vo ghuT ke mar hi na jaa.e jo mere andar hai
mira vajud hi meri nafi na ban jaa.e
tiri vafa miri nas nas men zahr bhar degi
ye dosti bhi tiri dushmani na ban jaa.e
tumhare mathe pe ubhri hai jo shikan ki tarah
yahi lakir bhaTak kar hansi na ban jaa.e
uTha.un nazm ka ghunghaT to samne tum ho
ghazal kahun to tumhari chhabi na ban jaa.e
Leave a Reply