• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Intizar

Intizar

tanveer-anjum

tumhen malum hai vo be-khudi ka kaisa aalam tha

mire honton men jalti patriyan bhi muskurati thiin

miri ankhon ko raten jagne ka gham nahin tha jab

mire hathon men bikhri silvaten shikva na karti thiin

mire pairon ka nanga-pan kahin be-dam nahin tha jab

mujhe khaddar ke malbusat bhi rusva na karte the

kisi khane ki baasi badbuon men gham nahin tha jab

ye saari mehnaten kyuun meri ankhon men utarti hain

ye honton men dimaghon ka khinchao jagta kyuun hai

ye chehre ki lakiren kyuun mujhe ranjida karti hain

ye kaise ranj hain alam hain gham hain tabahi hai

miri khud-agahi ke sabz chashme khushk se kyuun hain

ye kaisi dhuup hai jo jism ki raanai jhulsae

ye kaisi chhanv hai jo sardiyon ki barf ban jaae

ye main ne chandni ko muddaton se kyuun nahin dekha

ye kyuun in barishon men phuul raston men nahin phaile

ab is mamta ki shabnam kyuun mire dil par nahin girti

miri aghosh men basti ke bachche kyuun nahin aate

vahi hangam ab kyuun ek pagal-pan sa lagta hai

kisi dilchasp khamoshi men kyuun vahshat si hoti hai

ye akhir rafta rafta saari duniya kyuun badalti hai

magar jab sochti huun main to ye bohran ka aalam

ye saari hosh ki duniya hai bas ik khvab ke pichhe

ye saare bolte aansu ye honton main khinchao sa

ye jalti dhuup dushman chhanv guzre chand ki kirnen

ye azurda se raste mamta se khali aghoshen

ye pagal-pan ki duniya vahshaton ki ghor tariki

ye meri ruuh ke andar badalti adaton ka gham

tumhara muntazir hai tum mujhe mazbut banhon men

kabhi haule se le loge mire kanon men kah doge

tumhen kis baat ka gham hai tumhen kaisi pareshani

tumhare paas hain jo huun tumhare gham main le lunga

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

afzal-naved

Ek Ujli Umang Udai Thi

Koi KHushi Na Koi Ranj Mustaqil Hoga

Ek Udasi Dil Par Chhai Rahti Hai

Hijr baKHsha Kabhi Visal Diya

Agar Us Ka Mera jhagDa Yahin Tai Ho to Achchha Ho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet