• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ab Kis Se Kahen Ki Kya Hua Tha

Ab Kis Se Kahen Ki Kya Hua Tha

ab kis se kahen ki kya hua tha

ik hashr yahan bapa raha tha

dastar ki paanv men paḌi thi

sardar kisi pe hans raha tha

vo shaam guzar ga.i thi aa ke

ranjur udaas main khaḌa tha

dahliz jakaḌ rahi thi paanv

pindar magar uḌa hua tha

sad shukr gaḌha hua tha qissa

kam-baḳht yaqin aa gaya tha

ik baar hi aazma to lete

dar band na tha bhiḌa hua tha

shab-ḳhun men raushni bahut thi

tha kaun jo dekhta raha tha

juzdan men ayaten chhupi thiin

gul-dan men phuul khil raha tha

ik shaḳhs ki tha vafa ka paikar

vo shaḳhs bhi ma.il-e-jafa tha

dastur vahi tha hasb-e-dastur

insaf ka qatl ho raha tha

kuchh phuul khile hue the ghar men

kuchh yaad se dil mahak raha tha

kuchh ashk gire hue the ḳhat par

ik lafz tha jo miTa hua tha

us shaam tha dil bahut akela

main hanste hanste ro paḌa tha

thi baat bahut zara si ‘ahmad’

is dil ko na jaane kya hua tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jhuke Hue peDon Ke Tanon Par Chhap Hai Chanchal Dhaare Ki

akbar-allahabadi

Ishq-E-But Mein Kufr Ka Mujhko Adab Karna Pada

Rafiq-O-Monis-O-Hamdam Koi Mila Hi Nahin

Zara Dekhiye to Ghazab Dha Rahe Hain

poet

Mere Zehn-O-Dil Mein Fikr-O-Fan Mein Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet