miri ḳhaak men vila ka na koi sharar hota
na hi dil se aag uThti na ye be-qarar hota
mire sar pe haath rakhna jo tira shi.ar hota
main na dar-ba-dar bhaTakta kahin ar-par hota
main rahin-e-qalb-e-muztar tu charagh-e-shadmani
tiri mahfil-e-tarab men kahan dil-figar hota
tiri be-ḳhudi ne ai dil kisi kaam ka na chhoḌa
tiri baat Taal deta to na ḳhud pe baar hota
tire husn ki kahani miri chashm-e-tar se nikli
main na ashk-bar hota to na ashkar hota
agar is pe baiTh jaata koi murgh-e-na-umidi
mira naḳhl-e-arzu phir kahan saya-dar hota
Leave a Reply