kuchh bhi nahin jo yad-e-butan-e-hasin nahin
jab vo nahin to dil bhi hamara kahin nahin
kis vaqt khun-fishan nahin ankhen firaq men
kis roz tar lahu se yahan astin nahin
aisa na paaya koi bhi us but ka naqsh-e-pa
jis par ki ashiqon ke nishan-e-jabin nahin
har parda-dar vaqt par aata nahin hai kaam
ek astin hai ankhon par ik astin nahin
donon jahan se kaam nahin ham ko ishq men
achchha to hai jo apna thikana kahin nahin
kya har taraf hai nazaa men apni nigah-e-yas
zaanu par us ke sar jo dam-e-vapsin nahin
donon men sau tarah ke bakhede hain umr bhar
ai ishq mujh ko hausla-e-kufr-o-din nahin
vo mehr-vash jo aaya tha kal aur auj tha
aaj asman pe mere makan ki zamin nahin
kya aankh utha ke nazaa men dekhun kisi ko main
balin par aap hi jo dam-e-vapsin nahin
paida hui zarur koi na-khushi ki baat
be-vaj.h ye huzur ki chin-e-jabin nahin
khair aa ke fatiha kabhi ikhlas se padhe
us bevafa ki zaat se ye bhi yaqin nahin
khilat mili junun se ajab qata ki mujhe
daman hain chaak jeb qaba astin nahin
‘afsar’ jo is jahan men kal tak the hukmaran
aaj un ka bahar-e-nam bhi taj-o-nagin nahin
Leave a Reply