falah-e-admiyat men sa.ubat sah ke mar jaana
yahi hai kaam kar jaana yahi hai naam kar jaana
jahan insaniyat vahshat ke hathon zab.h hoti ho
jahan tazlil hai jiina vahan behtar hai mar jaana
yunhi dair o haram ki Thokaren khate phire barson
tiri Thokar se likkha tha muqaddar ka sanvar jaana
sukun-e-ruh milta hai zamane ko tire dar se
bahisht-o-ḳhuld ke manind ham ne tera dar jaana
hamari sada-lauhi thi ḳhuda-baḳhshe ki ḳhush-fahmi
ki har insan ki surat ko ma-fauq-ul-bashar jaana
ye hai rindon pe rahmat roz-e-mahshar ḳhud mashiyyat ne
likha hai ab-e-kausar se nikhar jaana sanvar jaana
chaman men is qadar sahme hue hain ashiyan vaale
ki jugnu ki chamak ko sazish-e-barq-o-sharar jaana
hamen ḳhar-e-vatan ‘gulzar’ pyare hain gul-e-tar se
ki har zarre ko ḳhak-e-hind ke shams o qamar jaana
Leave a Reply