Misal-E-Sada-Waraq Tha Magar Kitab Mein Tha

misāl-e-sāda-varaq thā magar kitāb meñ thā

vo din bhī the maiñ tire ishq ke nisāb meñ thā

bhulā chukā hai tū ik baar mujh se aa kar sun

vahī sabaq jo kabhī tere dil ke baab meñ thā

jo aaj mujh se bichhaḌ kar baḌe sukūn meñ hai

kabhī vo shaḳhs mire vāste azaab meñ thā

usī ne mujh ko ġham-o-soz-e-jāvidāñ baḳhshā

vo ek chāñd kā TukḌā sā jo naqāb meñ thā

mirā vajūd mujassam ḳhulūs thā ‘nāsir’

maiñ phir bhī bārgah-e-husn ke itaab meñ thā

Leave a Comment