taḳhayyul ko bari karne laga huun
main zehni ḳhud-kushi karne laga huun
mujhe zinda jalaya ja raha hai
to kya main raushni karne laga huun
main a.inon ko dekhe ja raha tha
ab in se baat bhi karne laga huun
tumhari bas tumhari dushmani men
main sab se dosti karne laga huun
mujhe gumrah karna ghair-mumkin
main apni pairvi karne laga huun
Leave a Reply