tire daant saare safed hain pa.e-zeb paan se mal kar aa
nahin dekhe aaj tak abr men mujhe ab dikhane ko aḳhtar aa
shab-e-va.ada tu agar aa.e hai to darang kya hai mire ghar aa
ki ye ankhen lag rahi dar se hain shab-e-rashk-e-mah ba-ḳhuda dar aa
mire sar pe har ghaḌi faḳhta kare kaam kyunki na arre ka
qad-e-dil-ruba ke huzur tu na chaman men ban ke sanobar aa
mire tan se sar ko juda kar ab nahin ḳhun-baha ki mujhe talab
ki ye tan ye bar-e-giran hai bas kahin tegh le ke sitamgar aa
ye makan hain donon tire liye nahin ghair ka hai yahan guzar
jo tu chashm men nahin aa.e hai mire dil men yaar suḳhnavar aa
tiri raah dekhun main ta-kuja kahun kis se ye ki ḳhabar hi la
mira us se le ke javab-e-ḳhat kahin jald uḌ ke kabutar aa
ba-juz abr de but-e-bada-kash nahin dil ke vaste ja.e-ḳhush
ki ye shisha aur vo taaq hai tu ‘nasir’ ja ke use dhar aa
Leave a Reply