ishq-e-but men kufr ka mujh ko adab karna pada
jo barhaman ne kaha akhir vo sab karna pada
sabr karna furqat-e-mahbub men samjhe the sahl
khul gaya apni samajh ka haal jab karna pada
tajrabe ne hubb-e-duniya se sikhaya ehtiraz
pahle kahte the faqat munh se aur ab karna pada
shaikh ki majlis men bhi muflis ki kuchh pursish nahin
diin ki khatir se duniya ko talab karna pada
kya kahun be-khud hua main kis nigah-e-mast se
aql ko bhi meri hasti ka adab karna pada
iqtiza fitrat ka rukta hai kahin ai ham-nashin
shaikh-sahib ko bhi akhir kar-e-shab karna pada
alam-e-hasti ko tha madd-e-nazar katman-e-raz
ek shai ko dusri shai ka sabab karna pada
sher ghairon ke use mutlaq nahin aae pasand
hazrat-e-‘akbar’ ko bil-akhir talab karna pada
Leave a Reply