kitni viran hai ye mahfil-e-shab
na sitare na charagh
ik ghani dhund hai gardun pe muhit
chand hai chand ka daagh
phailte jaate hain manzar ke khutut
bujhta jaata hai dimagh
raste ghul gae tariki men
tod kar zoam-e-safar
kaun had-e-nazar dekh sake
mit gai had-e-nazar
saikdon manzilen tai kar to chuke
lekin ab jaaen kidhar
asman hai na zamin hai shayad
kuchh nahin kuchh nahin
in khalaon men pukaren to kise
koi sunta hi nahin
ek duniya to hai ye bhi lekin
apni duniya si nahin
dosto aao qarib aa jaao
aa ke dekho to sahi
ek halqe men bujhi ankhon ko
la ke dekho to sahi
shayad avaz pe avaz aae!
de ke dekho to sahi
Leave a Reply