• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aisi Uljhan Ho Kabhi Aisi Bhi Ruswai Ho

Aisi Uljhan Ho Kabhi Aisi Bhi Ruswai Ho

aisi uljhan ho kabhi aisi bhi rusva.i ho

dil ke har zaḳhm men dariyaon ki gahra.i ho

ishq men aise kisi ki bhi na rusva.i ho

har-qadam paanv men zanjir nazar aa.i ho

is tarah yaad tiri dil men chali aa.i ho

jis tarah koi kali shaḳh pe muska.i ho

yuun guzarte hain tire hijr men din-rat mire

jaan pe jaise kisi shaḳhs ke ban aa.i ho

diid se pyaas bujhe chashm-e-tamanna ki kabhi

husn-e-zeba se dil-e-zar ki zeba.i ho

tu qarib aaya to aisa mujhe mahsus hua

teri ḳhushbu miri sanson men simaT aa.i ho

aise bojhal hain tire ba.ad mohabbat ke qadam

jaise laḌki kisi dehat ki ghabra.i ho

ek arsa hua manzar nahin dekha koi

husn-e-zeba se miri aankh men ra.ana.i ho

mil bhi sakta hai hamen manzil-e-hasti ka suragh

vaqt ne paanv men zanjir na pahna.i ho

is tarah dekhta hai mujh ko vo ik shaḳhs yahan

jis tarah ek zamane ki shanasa.i ho

raste aise chamak uThte hain rafta rafta

muntazir jaise nazar raah men phaila.i ho

kaash aisa bhi koi lamha mayassar aa jaa.e

ishq ki baat bane gham ki pazira.i ho

aise siine men pareshan hai dil ka hona

har taraf dhuul ho har or men tanha.i ho

dil bhi jalta ho juda.i men sharare ki tarah

giili lakḌi ki tarah jaan bhi sulga.i ho

gulshan-e-zist men raqsan ho baharon ka saman

tere anchal se har ik shaḳh hi rangva.i ho

husn ko ishq ke aa jaa.en jo adab kabhi

aankh shaida.i na ho dil na tamanna.i ho

arsa-e-zist men aisa na koi lamha mila

kisi saa.at ne kali pyaar ki mahka.i ho

da.ere aise banati hai yahan qaus-e-quzah

hu-ba-hu jaise kisi shoḳh ki angḌa.i ho

zindagi aise kaTi tana-o-dushnam ke saath

mera hona bhi mire gham ka shanasa.i ho

chain aata hai tamanna ko na arman ko sakun

jab mohabbat ki kali ḳhauf se murjha.i ho

bech ke ḳhud ko bhi ḳhushiyan na ḳharidi jaa.en

teri duniya men na aisi kabhi mahnga.i ho

mujh ko gul-rang baharon se yahi lagta hai

jaise parva tiri ḳhushbu ko liye aa.i ho

dekh kar rang baharon ke mujhe lagta hai

jaise chunari kisi doshiza ne phaila.i ho

phuul ki tarah sabhi daagh mahakne lag jaa.en

kaash aisa bhi kahin tarz-e-masiha.i ho

kaisa manzar ho ki sar phoḌte divanon ke

sang ho haath men aur samne harja.i ho

hai mizaj apna alag apni tabi.at hai juda

kaise is daur ke logon se shanasa.i ho

vo suḳhan-var jo suḳhan-var hain haqiqi sahab

aise logon ka kabhi jashn-e-pazira.i ho

zaḳhm us shoḳh ne is baar lagaya vo ‘nabil’

jaise biphre hue dariyaon ki gahra.i ho

chaa.e ka cup ho ‘nabil’ aur kisi ki yaden

raat ka pichhla pahar alam-e-tanha.i ho

aisi halat men nazar aaya hai vo aaj ‘nabil’

jaise sheron men koi qafiya-paima.i ho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Ahl-E-Jahan Ke Milne Se Hum Ehtiraaz Kar

Mana Ki Mera Dil Bhi Jigar Bhi Hai Koi Chiz

Ruh Ke zaKHm Se Chehre Pe Tawanai Hai

Mujh Pe to Gire KHanjar Tum Lahu Lahu Kyon Ho

Wo Ek Lamha-E-Rafta Bhi Kya Bula Laya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet