maan mausam ka kaha chhai ghata jaam utha
aag se aag bujha phuul khila jaam utha
pi mire yaar tujhe apni qasam deta huun
bhuul ja shikva gila haath mila jaam utha
haath men chand jahan aaya muqaddar chamka
sab badal jaega qismat ka likha jaam utha
ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa
der kya karna yahan haath badha jaam utha
pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahan
mai-kade men koi chhota na bada jaam utha
Leave a Reply