munqalib surat-e-halat bhi ho jaati hai
din bhale hon to karamat bhi ho jaati hai
husn ko aata hai jab apni zarurat ka khayal
ishq par lutf ki barsat bhi ho jaati hai
dair o kaaba hi is ka na taalluq samjho
zindagi hai ye kharabat bhi ho jaati hai
jabr se taat-e-yazdan bhi hai bar-e-khatir
pyaar se adat-e-khidmat bhi ho jaati hai
davar-e-hashr mujhe apna musahib na samajh
baaz auqat khari baat bhi ho jaati hai
hashr men le ke chalo mutrib o maashuq o subu
ghair ke ghar men kabhi raat bhi ho jaati hai
baaz auqat kisi aur ke milne se ‘adam’
apni hasti se mulaqat bhi ho jaati hai
Leave a Reply