laraz jaata hai thoḌi der ko tar-e-nafas mera
sar-e-maidan kabhi jab jast karta hai faras mera
main ḳhud se duur ho jaata huun us se duur hone par
riha.i chahta huun aur muqaddar hai qafas mera
zara mushkil se ab pahchanta huun in manazir ko
qayam us ḳhak-dan par tha abhi pichhle baras mera
dua karta huun milne ki tamanna kar nahin paata
bhala kya samna kar pa.enge ahl-e-havas mera
nahin bhulegi meri dastan-e-ishq-e-duniya ko
ki sahra men abhi tak naam leti hai jaras mera
numud-e-aks ki is ko zamanat kaun de ‘sajid’
nahin hai jab shaguft-e-a.ina par koi bas mera
Leave a Reply