• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / KHwahish-E-Jada-E-Rahat Se Nikalta Kaise

KHwahish-E-Jada-E-Rahat Se Nikalta Kaise

ḳhvahish-e-jada-e-rahat se nikalta kaise

dil mira ku-e-malamat se nikalta kaise

saya-e-vahm-o-guman chaar taraf phaila hai

main abhi karb-o-aziyyat se nikalta kaise

meri rusva.i agar saath na deti mera

yuun sar-e-bazm main izzat se nikalta kaise

meri nazren jo na paḌtin to vahan pichhli shab

ik sitara sa tiri chhat se nikalta kaise

main ki barbad hua diid ki ḳhatir jis ki

vo mire dida-e-hairat se nikalta kaise

us ke dam hi se to qaa.em hai mira jah-o-jalal

vo mire dil ki hukumat se nikalta kaise

jaag baiTha huun to dil Duuba nahin hai ‘aḳhtar’

soya rahta to musibat se nikalta kaise

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

parveen-shakir

Ashk Aankh Mein Phir Atak Raha Hai

Tera Chehra Subh Ka Tara Lagta Hai

poet

Soz-E-dil Har Shab Hamein Apna Hi Batlati Hai Shama

pahaD Sahra Nadi Ne Hamein Talash Kiya

Ye Jab Hai Ki Ek KHwab Se Rishta Hai Hamara

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet