hue rone se mire dida-e-bedar safed
balki ashkon ne kiya rang-e-shab-e-tar safed
ankhen khush-chashmon ki tujh par huiin ai yaar safed
jis tarah zoaf se ho chehra-e-bimar safed
ho gaya zoaf se mera badan-e-zar safed
nazar aata hai sanam surat-e-zunnar safed
hai faqat alam-e-bala se madad maston ki
kaun juz maah kare khana-e-khummar safed
gul-ezaron ki jo mahfil men gaya vo gul-e-tar
ho gae zard jo do-char to do-char safed
tu vo yusuf hai ki ab muntazari men ai jaan
misl-e-yaqub hui chashm-e-kharidar safed
dud-e-dagh-e-sar-e-sauda-zada karta hai siyah
ai junun ham kabhi rakhte hain jo dastar safed
raushan ai maah kiya tu ne siyah-khana mira
tere jalve se hue hain dar-o-divar safed
vaah kya rang-e-hina hai ki tiri chutki se
surkh ho jaae agar ho lab-e-sofar safed
shayad un ko nahin andar ki siyahi ki khabar
kar rahe hain jo miri qabr ko meamar safed
ud gaya rang-e-shaqaiq tire aage jis dam
log samjhe ki hua barf se kohsar safed
nuqrai puththe ka daala nahin tu ne mubaf
hai siyah saara badan aur dum-e-mar safed
vasf likkhe jo tire gore badan ke main ne
ho gai zagh-e-qalam ki vahin minqar safed
sham-e-kafur se tashbih bhala duun kyuun kar
hai ba-rang-e-mah-e-taban badan-e-yar safed
baad ik umr ke ‘nasikh’ ki jo ab aamad hai
lucknow ke hue sab kucha-o-bazar safed
Leave a Reply