paas baiThe raho kuchh der bahal jaane do
dil-e-dīvāna machaltā hai machal jaane do
Daal do tum mirī āñkhoñ meñ sharābī āñkheñ
merī hasrat mire armān nikal jaane do
tum to apne ruḳh-e-raushan se haTā do āñchal
chāñdnī raat jo Dhaltī hai to Dhal jaane do
raaz khul jā.egā gulshan ke nigahbānoñ kā
ai bahāro hameñ gulshan se nikal jaane do
ġham ye hai un kī nigāheñ na badal jaa.eñ kahīñ
gar badaltā hai zamāna to badal jaane do
dūsre daur ke āġhāz se pahle yaaro
laḌkhaḌāte hue rindoñ ko sambhal jaane do
husn vaalo dil-e-‘anvar’ se kināra na karo
husn kī sham.a pe parvāne ko jal jaane do