main ḳhali ghar men bhi tanha nahin tha
ki jab tak aa.ina TuuTa nahin tha
sar-e-a.ina vo chehra nahin tha
magar ye baat main samjha nahin tha
jahan sairab hoti thi miri ruuh
vo sahra tha koi dariya nahin tha
mujhe us moḌ pe maara gaya hai
kahani men jahan marna nahin tha
miri ankhon ne vo aansu bhi dekha
miri qismat men jo likkha nahin tha
hui thi zindagi jab shahr men gum
kisi ko koi ranj is ka nahin tha
Leave a Reply