shikast-e-shisha-e-dil ki dava main kya karta
tire alava koi dusra main kya karta
main ghota-zan tha tiri yaad ke samundar men
libas uTha ke koi le gaya main kya karta
kisi ke jaam ki jhuTi sharab kyuun piita
tumhare husn ki qatil ada main kya karta
main jab chala miri manzil bhi chal paḌi aage
hamara kam na hua fasla main kya karta
har ek chiiz agar tere iḳhtiyar men hai
to main ne hone diya jo hua main kya karta
hayat-e-nau ke jazire pe rokni paḌi naav
muḳhalifat pe tuli thi hava main kya karta
miri sarisht men inkar rakh diya tu ne
to hukm manta kaise bhala main kya karta
ye dil to ek zamane se intizar men tha
tu aa ke baiThta phir dekhta main kya karta
mira to jo bhi tha sab kuchh tira diya hua tha
mire karim tira shukriya main kya karta
Leave a Reply