vahshat usi se phir bhi vahi yaar dekhna
pagal ko jaise chand ka didar dekhna
is hijrati ko kaam hua hai ki raat din
bas vo charagh aur vo divar dekhna
paanv men ghumti hai zamin asman talak
is tifl-e-shir-khvar ki raftar dekhna
ya-rab koi sitara-e-ummid phir tulu
kya ho gae zamin ke asar dekhna
lagta hai jaise koi vali hai zuhur men
ab shaam ko kahin koi mai-khvar dekhna
is vahshati ka haal ajab hai ki us taraf
jaana bhi aur janib-e-pindar dekhna
dekha tha khvab shaer-e-momin ne is liye
taabir men mila hamen talvar dekhna
jo dil ko hai khabar kahin milti nahin khabar
har subh ik azaab hai akhbar dekhna
main ne suna hai qurb-e-qayamat ka hai nishan
be-qamati pe jubba-o-dastar dekhna
sadiyan guzar rahi hain magar raushni vahi
ye sar hai ya charagh sar-e-dar dekhna
is qafile ne dekh liya karbala ka din
ab rah gaya hai shaam ka bazar dekhna
do chaar ke siva yahan likhta ghazal hai kaun
ye kaun hain ye kis ke taraf-dar dekhna
Leave a Reply