• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tha Pahla Safar Uski Rifaqat Bhi Nai Thi

Tha Pahla Safar Uski Rifaqat Bhi Nai Thi

tha pahla safar us ki rifaqat bhi na.i thi

raste bhi kaThin aur masafat bhi na.i thi

dil tha ki kisi taur bhi qaabu men nahin tha

rah rah ke dhaḌakne ki alamat bhi na.i thi

jab us ne kaha tha ki mujhe ishq hai tum se

ankhon men jo aa.i thi vo hairat bhi na.i thi

sadiyon ke ta.alluq ka guman hone laga tha

jab ki miri us shaḳhs se nisbat bhi na.i thi

vaqif bhi nahin tha main kisi sud-o-ziyan se

us ishq ke saude men shirakat bhi na.i thi

ḳhvabon ke bikhar jaane ka dhaḌka bhi laga tha

be-dari-e-shab ki mujhe aadat bhi na.i thi

ta.abir kahan DhunDne jatin miri ankhen

un ko to kisi ḳhvab ki zahmat bhi na.i thi

dil vaqif-e-adab-e-mohabbat bhi nahin tha

duniya ke rivajon se baghavat bhi na.i thi

phir main ki kisi nashe ka aadi bhi nahin tha

aur mere liye vasl ki lazzat bhi na.i thi

yuun kar-e-junun karna ḳhirad-mandon men rah kar

jo Daali thi tum ne vo rivayat bhi na.i thi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Wahi Jo Haya Thi Nigar Aate Aate

poet

Lutate Hain Wo Bagh-E-Ishq Jae Jis Ka Ji Chahe

Jitne the Tere Jalwe Sab Ban Gae but-KHane

poet

Ab Tak to Yahi Pata Nahin Hai

Is Dasht Se Aage Bhi Koi Dasht-E-Guman Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet