yuun tujh se duur duur rahun ye saza na de
ab aur zinda rahne ki mujh ko dua na de
ab ehtiyat-e-shiddat-e-girya na puchhiye
darta huun main vo sun ke kahin muskura na de
lo main ne dil ki us se lagai to hai magar
dar hai ye sham-e-gham kahin daman jala na de
kahna to hai mujhe bhi hadis-e-gham-e-hayat
lab kholne ki kaash ijazat zamana de
ho bijliyon ka mujh se jahan par muqabla
ya-rab vahin chaman men mujhe ashiyana de
us dene vaale ke yahan kis shai ki hai kami
tum mangne ki tarah jo mango to kya na de
hassas main bahut huun na lag jaae dil ko Thes
mahfil men muskura ke mujhe yuun sada na de
main ashna-e-dard-o-gham-e-dil huun chara-gar
jis se ifaqa ho mujhe aisi dava na de
‘ajiz’ tamam umr main khata raha fareb
mujh ko miri vafaon ka aisa sila na de
Leave a Reply