• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kyun Wasl Mein Bhi Aankh Milai Nahin Jati

Kyun Wasl Mein Bhi Aankh Milai Nahin Jati

kyuun vasl men bhi aankh mila.i nahin jaati

vo farq dilon ka vo juda.i nahin jaati

kya dhuum bhi nalon se macha.i nahin jaati

soti hui taqdir jaga.i nahin jaati

kuchh shikva na karte na bigaḌta vo shab-e-vasl

ab ham se koi baat bana.i nahin jaati

dekho to zara ḳhaak men ham milte hain kyunkar

ye nichi nigah ab bhi uTha.i nahin jaati

kahti hai shab-e-hijr bahut zinda rahoge

manga karo tum maut abhi aa.i nahin jaati

vo ham se mukaddar hain to ham un se mukaddar

kah dete hain saaf apni safa.i nahin jaati

ham sulh bhi kar len to chali jaati hai un men

baham dil o dilbar ki laḌa.i nahin jaati

ḳhud dil men chale aaoge jab qasd karoge

ye raah batane se bata.i nahin jaati

chhupti hai ‘jalal’ ankhon men kab hasrat-e-didar

sau parde agar hon to chhupa.i nahin jaati

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

zahida-zaidi

Band Kamra

noon-meem-rashid

Andha Kabaadi

Jab Purab Mein Nil Ambar Par Ek Kafuri Phul Khila

Tumhein Koi KHabar Hai Na Pata Hai

Ajib Saneha Guzra Hai in Gharon Pe Koi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet