dam-bhar jo na dekhe tujhe ai rashk-e-pari aankh
mizhgan ki zabanon se kare nauhagari aankh
jam jaa.e tasavvur jo tire buuTe se qad ka
pathra ke bane saaf aqiq-e-shajari aankh
le lijiye shishe hain safed ashk nahin hain
nam bada-kashi se ki ga.i shisha-gari aankh
jaao jo chaman ko to kare farsh-e-rah-e-naz
bulbul jigar-o-faḳhta dil kabk-e-dari aankh
dekha jise bismil kiya taaka jise maara
us aankh se Dariye jo ḳhuda se na Dari aankh
jumbish udhar us ko hai to gardish idhar is ko
abru hai ki shamshir sipar hai ki phiri aankh
kya diid ke qabil tire kuche ki zamin hai
har gaam hai naqsh-e-qadam-e-rah-guzri aankh
tum jhank rahe ho ye tumhen taak raha hai
kyuun dida-e-rauzan pe aji tum ne dhari aankh
kahti hi tiri naf-o-shikam dekh ke bulbul
ruḳhsar-e-gul-e-tar pe hai nargis ki dhari aankh
ai maah ye sab chashm-e-falak ke hain ishare
aise to na thi ma.il-e-be-dad-gari aankh
nargis jo gulistan men hai to dasht men aahu
har rang men dikhlane lagi jalvagari aankh
gad ka kahin vo surma ka dumbala uTha.e
hai dast-e-mizha men liye putli ki phiri aankh
dekhe vo agar chashm-e-siyah aur ye ḳhat-e-sabz
nargis ki siyah aankh ho tuuti ki hari aankh
Leave a Reply