sitara-bar ban jaae nazar aisa nahin hota
har ik ummid bar aae magar aisa nahin hota
mohabbat aur qurbani men hi taamir muzmar hai
dar-o-divar se ban jaae ghar aisa nahin hota
sabhi ke haath men misl-e-sifal-e-nam nahin rahna
jo mil jaae vahi ho kuza-gar aisa nahin hota
kaha jalta hua ghar dekh kar ahl-e-tamasha ne
dhuan aise nahin uthta sharar aisa nahin hota
kisi ki mehrban dastak ne zinda kar diya mujh ko
main patthar ho gai hoti agar aisa nahin hota
kisi jazbe ki shiddat munhasir takmil par bhi thi
na paaya ho to khone ka bhi dar aisa nahin hota
Leave a Reply