na us ka bhed yaari se na ayyari se haath aaya
khuda agah hai dil ki khabardari se haath aaya
na hon jin ke thikane hosh vo manzil ko kya pahunche
ki rasta haath aaya jis ki hushyari se haath aaya
hua haq men hamare kyuun sitamgar asman itna
koi puchhe ki zalim kya sitamgari se haath aaya
agarche mal-e-duniya haath bhi aaya harison ke
to dekha ham ne kis kis zillat-o-khvari se haath aaya
na kar zalim dil-azari jo ye dil manzur hai lena
kisi ka dil jo haath aaya to dildari se haath aaya
agarche khaksari kimiya ka sahl nuskha hai
va-lekin haath aaya jis ke dushvari se haath aaya
hui hargiz na tere chashm ke bimar ko sehhat
na jab tak zahr tere khatt-e-zangari se haath aaya
koi ye vahshi-e-ram-dida tere haath aaya tha
par ai sayyad-vash dil ki giraftari se haath aaya
‘zafar’ jo do jahan men gauhar-e-maqsud tha apna
janab-e-fakhr-e-din ki vo madad-gari se haath aaya
Leave a Reply