dua ko haath mira jab kabhi utha hoga
qaza-o-qadr ka chehra utar gaya hoga
jo apne hathon lute hain bas is pe zinda hain
khuda kuchh un ke liye bhi to sochta hoga
tiri gali men koi saae raat bhar ab bhi
suragh-e-jannat gum-gashta dhundta hoga
jo gham ki aanch men pighla kiya aur aah na ki
vo aadmi to nahin koi devta hoga
tumhare sang-e-taghaful ka kyuun karen shikva
is aaine ka muqaddar hi tutna hoga
hai mere qatl ki shahid vo astin bhi magar
main kis ka naam luun sau baar sochna hoga
ye meri pyaas ke saghar tere labon ki sharab
ravaj-o-rasm-e-mohabbat ka mojaza hoga
phir aarzu ke khandar rang-o-bu men duub chale
fareb-khurda koi khvab dekhta hoga
sitare bhi tiri yadon ke bujhte jaate hain
gham-e-hayat ka suraj nikal raha hoga
sada kise den ‘naimi’ kise dikhaen zakhm
ab itni raat gae kaun jagta hoga
Leave a Reply