chup-chap habs-e-vaqt ke pinjre men mar gaya
jhonka hava ka aate hi kamre men mar gaya
suraj lihaf oḌh ke soya tamam raat
sardi se ik parinda dariche men mar gaya
jo naḳhuda ko kah na saka umr bhar ḳhuda
vo shaḳhs kal ana ke jazire men mar gaya
editori ne kaaT diin taḳhliq ki ragen
achchha-bhala adiib risale men mar gaya
suraj ne ansuon ki tavana.i chhin li
shabnam sa shaḳhs dhuup ke qasbe men mar gaya
is martaba bhi sachchi gavahi usi ne di
is martaba magar vo kaTahre men mar gaya
‘nasik’ vo apni zaat men manzil se kam na tha
vo rah-rav-e-hayat jo raste men mar gaya
Leave a Reply