arzu-e-visal kya matlab
ai dil-e-pur-malal kya matlab
TuuT jaa.e to dil ki qadr baḌhe
is qadar dekh-bhal kya matlab
be-par-o-bal ta.eron ke liye
dana-o-dam-o-jal kya matlab
naaz tha jin ko zabt par apne
un ke lab par saval kya matlab
maslahat-keshiyon ke saath ai dost
ghairat-o-infi.al kya matlab
intizar aur us sitamgar ka
hasrat-e-pa.emal kya matlab
aa.e aur us kam-ashna ko ‘naresh’
gham-zadon ka ḳhayal kya matlab
Leave a Reply