badan se jaan nikalna chahti hai
bala us ghar se Talna chahti hai
yunhi atish-fishan kab jagte hain
zamin karvaT badalna chahti hai
hudud-e-sahn-e-gulshan se nikal kar
saba galiyon men chalna chahti hai
dhuan sa uTh raha hai chaar janib
koi surat nikalna chahti hai
havaon men nahin quvvat numu ki
magar Tahni to phalna chahti hai
jo chehra hai vahan phuli hai sarson
zamin sona ugalna chahti hai
Leave a Reply