kabhi yaqin ki duniya men jo ga.e sapne
udasiyon ke samundar men kho ga.e sapne
baras rahi thi haqiqat ki dhuup ghar bahar
sahm ke aankh ke anchal men kho ga.e sapne
kabhi uḌa ke mujhe asman tak laa.e
kabhi sharab men mujh ko Dubo ga.e sapne
hamin the niind men jo un ko sa.eban samjha
khuli jo aankh to daman bhigo ga.e sapne
khuli rahi jo miri aankh mere marne par
sada sada ke liye aaj kho ga.e sapne
Leave a Reply