
Jawed Adil Sohavi
ziya-e-rang bhi kuchh to dosti karo yaar
bahut andhera hai kamre men raushni karo yaar
yahan faraghaten bar-e-garan hain rishton par
qarabaton ka taqaza hai naukri karo yaar
bharam nigah men rakkho vaqar-e-qamat ka
baḌa hai zarf to phir baat bhi baḌi karo yaar
chahakti shab men ḳhamoshi udaas jangal hai
labon ke phuul mahakne do baat bhi karo yaar
jahan bala-e-fana ghaat men khaḌi hai vahan
ye chaar sansen ghanimat hain zindagi hain karo yaar
payam likkho mohabbat se aur bhejo use
baḌa hasin hai ye kaam ise abhi karo yaar
tilism-e-fikr se aage hain ishraten ‘adil’
ye qaid-ḳhana gira Daalo zindagi karo yaar

Leave a Reply