ghar ko kaisa bhi tum saja rakhna
kahin gham ka bhi dakhila rakhna
gar kisi ko samajhna apna tum
dhoka khane ka hausla rakhna
itni qurbat kisi se mat rakkho
kuchh zaruri hai fasla rakhna
in ki har baat mithi hoti hai
jhuti baton ka mat gila rakhna
zindagi ek baar milti hai
us ko jiine ka hausla rakhna
na-umidi ko kufr kahte hain
rab se ummid ‘asifa’ rakhna
Leave a Reply