dil pa.emal-e-ranj hai lutf-o-ata ke saath
sab kuchh hamen jahan men mila hai saza ke saath
laati hai DhunDh DhunDh ke aafat na.i na.i
meri to zindagi hai nuzul-e-bala ke saath
kyun-kar hamare dil ko asar ka yaqin na ho
jaari hai lab pe naam tumhara dua ke saath
ḳhun-e-rag-e-husain pe qurban ja.iye
kya kya mila hai ma.arka-e-karbala ke saath
ai naḳhuda safina ye maana bhanvar men hai
mumkin nahin ki tujh ko pukarun ḳhuda ke saath
mere liye to maut naved-e-hayat hai
lillah koi zahr pila de dava ke saath
mujh ko hai kaif-e-ishq se nisbat vahi ‘bashir’
nisbat hai jaise nai ko ḳhud apni sada ke saath
Leave a Reply