farogh-e-sham ka manzar us aftab men tha
kiran kiran vo ujala tha par hijab men tha
tire badan ki tamazat thi jis se aag lagi
chaman men barq na sho.ala koi gulab men tha
mire qarib raha phir bhi mujh ko paḌh na saka
mira vajud to mahfuz ik kitab men tha
zamane-bhar ki nazar se jo bach gaya yaaro
vo shaḳhs meri nigahon ke intiḳhab men tha
khula jo nama-e-a.amal hashr men mera
bas ek jurm-e-mohabbat mire hisab men tha
main ashna-e-mohabbat to be-qarar hi tha
vo ashna-e-mohabbat na tha azaab men tha
main dekhta hi raha pattharon ki barish men
mire habib ka chehra bhi ik naqab men tha
Leave a Reply