rahne valon ko tire kuche ke ye kya ho gaya
mere aate hi yahan hangama barpa ho gaya
tera aana tha tasavvur men tamasha shama-ru
mere dil par raat parvanon ka balva ho gaya
zabt karta huun vale is par bhi hai ye josh-e-ashk
gir pada jo aankh se qatra vo dariya ho gaya
is qadar maana bura main ne adu ka sun ke naam
akhir us ki aisi baton ka tamasha ho gaya
kya ghazab hai iltija par maut bhi aati nahin
talkh-kami par hamari zahr mitha ho gaya
dekh yuun khana-kharabi ghair vaan qabiz hua
jis ke ghar ko ham ye samjhe the ki apna ho gaya
Leave a Reply