mustahiq vo lazzat-e-gham ka nahin
jis ne ḳhud apna lahu chakkha nahin
us shajar ke saa.e men baiTha huun main
jis ki shaḳhon par koi patta nahin
kaun deta hai dar-e-dil par sada
kah do main bhi ab yahan rahta nahin
ban rahe hain sat.h-e-dil par da.ere
tum ne to patthar koi phenka nahin
ungliyan kanTon se zaḳhmi ho ga.iin
haath phulon tak abhi pahuncha nahin
ek ḳhushbu saath jo pal bhar rahi
umr bhar pichha mira chhoḌa nahin
vo maqam-e-fikr hai mira ‘ali’
jis bulandi tak koi pahuncha nahin
Leave a Reply