biite hue dinon ki hain yaden bhi ik azaab
rahta hai zehn-o-qalb pe un ka sada itaab
idrak-o-fahm ko bhi ye dasti hain dam-ba-dam
jazbat ke liye bhi nahin naginon se kam
chaha tha shairi to na masmum ho magar
yadon ka zahr is pe bhi ab kar gaya asar
Leave a Reply