taron men chhup ga.e ki gulon men nihan rahe
meri nazar ne DhunDh liya tum jahan rahe
guzre hue zamane ka kuchh to nishan rahe
gar ashiyan nahin to gham-e-ashiyan rahe
ye aur baat hai ki nazar se nihan rahe
lekin vo saath saath rahe ham jahan rahe
us ko kisi maqam pe mahdud kyuun karo
kaun-o-makan bana ke bhi jo la-makan rahe
ik naqsh-e-mustaqil vo zamane men bin ga.e
jo be-niyaz-e-ḳhvahish-e-nam-o-nishan rahe
kyuun kar yaqin karen ki jahan men ḳhushi bhi hai
ham ko to gham ne gher liya ham jahan rahe
nam-o-nishan ke vaste marta hai kyuun bashar
jo sahab-e-nishan the kab un ke nishan rahe
kahta hai ye gulon ka tabassum bahut samajh
duniya men do-ghaḌi bhi agar shadman rahe
‘sharib’ jamal-e-dost ka parda to rah gaya
achchha hua hijab-e-nazar darmiyan rahe
Leave a Reply