dikhai de ki shua-e-basir khinchta huun
ghubar khinch jigar ka lakir khinchta huun
dikhai deta huun tanha safine men lekin
kinare lagte hi jamm-e-ghafir khinchta huun
mire jilau se koi kahkashan nahin bachti
main khinchne pe jo aauun akhir khinchta huun
umad padi hai jo yaksar khizan ke dhare se
gulabi-e-nigah-e-na-guzir khinchta huun
fishar padta hai gahra koi rag-o-pai men
kali kali se subu-e-abir khinchta huun
ki jaise khud se mulaqat ho nahin paati
jahan se uttha hua hai khamir khinchta huun
hazaron aaine har lahza khali hote hain
palat palat ke vahi aks-e-pir khinchta huun
mufahamat se jo had paar ho to ho jaae
bandha hua rag-e-jan se zamir khinchta huun
jin asmanon men sayyal-e-vaqt sakit hai
kamand daal vahan ju-e-shir khinchta huun
magar hava-o-havas par hi kharch ho jaae
har ek jhonke se bad-e-kasir khinchta huun
irade bhanp tire ja dhadakta hai dar par
pada hua pas-e-zindan asiir khinchta huun
baghair bhed na an-honi se bacha jaae
palat ke aata hai aksar jo tiir khinchta huun
tilism-e-zulf hifazat ka pinjra ho jaise
maze jahan ke ho kar asiir khinchta huun
ye dekh kar-e-jahan ne na dhajjiyan chhodin
tiri gali ki taraf ab sharir khinchta huun
‘naved’ kar to diya shahr-e-aina pamal
ab andaruni saf-e-dar-o-gir khinchta huun
Leave a Reply