duur tak chhae the badal aur kahin saaya na tha
is tarah barsat ka mausam kabhi aaya na tha
surkh aahan par tapakti buund hai ab har khushi
zindagi ne yuun to pahle ham ko tarsaya na tha
kya mila akhir tujhe sayon ke pichhe bhaag kar
ai dil-e-nadan tujhe kya ham ne samjhaya na tha
uf ye sannata ki aahat tak na ho jis men mukhil
zindagi men is qadar ham ne sukun paaya na tha
khuub roe chhup ke ghar ki char-divari men ham
hal-e-dil kahne ke qabil koi ham-saya na tha
ho gae qallash jab se aas ki daulat luti
paas apne aur to koi bhi sarmaya na tha
vo payambar ho ki ashiq qatl-gah-e-shauq men
taaj kanton ka kise duniya ne pahnaya na tha
ab khula jhonkon ke pichhe chal rahi thiin andhiyan
ab jo manzar hai vo pahle to nazar aaya na tha
sirf khushbu ki kami thi ghaur ke qabil ‘qatil’
varna gulshan men koi bhi phuul murjhaya na tha
Leave a Reply