gudaz-e-dil mata-e-chashm-e-nam tak bech dete hain
ye ahl-e-hosh ulfat ka bharam tak bech dete hain
munasib daam lag jaa.en to ḳhuban-e-pari-chehra
badan ke loch aur zulfon ke ḳham tak bech dete hain
ye kaise pasban-e-gulsitan hain jo baharon men
gulon ka rang-o-bu shaḳhon ka tum tak bech dete hain
tijarat par yahan buniyad hai aapas ke rishton ki
yahan ahl-e-karam dast-e-karam tak bech dete hain
ab is se baḌh ke fikr-o-zehn ki tauhin kya hogi
ki arbab-e-qalam apne qalam tak bech dete hain
vaqar-e-mai-kada par jaan de dete hain ham ‘maikash’
haram vaale to namus-e-haram tak bech dete hain
Leave a Reply