chali ab gul ke hathon se luta kar karvan apna
na chhoda haae bulbul ne chaman men kuchh nishan apna
ye hasrat rah gai kya kya maze se zindagi karte
agar hota chaman apna gul apna baghban apna
alam se yaan talak roiin ki akhir ho gaiin rusva
dubaya haae ankhon ne mizha ka khandan apna
raqiban ki na kuchh taqsir sabit hai na khuban ki
mujhe nahaq satata hai ye ishq-e-bad-guman apna
mira ji jalta hai us bulbul-e-bekas ki ghurbat par
ki jin ne aasre par gul ke chhoda ashiyan apna
jo tu ne ki so dushman bhi nahin dushman se karta hai
ghalat tha jante the tujh ko jo ham mehrban apna
koi azurda karta hai sajan apne ko he zalim
ki daulat-khvah apna ‘mazhar’ apna ‘jan-e-jan’ apna
Leave a Reply