koi sho.ala hai ki shabnam nahin dekha jaata
jada-e-ishq pe mausam nahin dekha jaata
aana hota hai to aa jaata hai tufan zarur
ḳhushk sahil hai ki hai nam nahin dekha jaata
dekha jaata hai ki kaun aa gaya manzil pahle
raah men kis ne liya dam nahin dekha jaata
dekha jaata hai diye kis ne jala.e kitne
sirf zulmat ka matam nahin dekha jaata
haal bhi saaf nazar aa.e zaruri hai ‘nihal’
sirf maazi hi ka album nahin dekha jaata
Leave a Reply