vo ek shaḳhs ki jo aftab jaisa hai
qarib aa.e to taaza gulab jaisa hai
ḳhuda kare ki kabhi bhi na TuTne paa.e
ye tera mera milan ek ḳhvab jaisa hai
zara bhi tez hava ho to kaanp uThta hai
vo ḳhush-jamal to shaḳh-e-gulab jaisa hai
kuchh aise lagta hai jaise guzar ga.iin sadiyan
tiri juda.i ka mausam azaab jaisa hai
samay ke tez bagulon ki zad men Thahra huun
mire vajud ka dariya habab jaisa hai
tiri jabin pe ibarat hai din-e-ishq ‘niyaz’
tira vajud muqaddas kitab jaisa hai
Leave a Reply