shabih-e-khanjar-e-qatil bana kar
rakkhi siine men ham ne dil bana kar
junun dil ko na mere baithne de
utha de mast-e-la-yaqil bana kar
nigah-e-bad ka andesha hai mujh ko
vo baithe hain jabin par til bana kar
jo qaabu tujh pe hota mera ai jaan
tujhe pahlu men rakhta dil bana kar
daraya pursish-e-mahshar se nahaq
pasheman huun tujhe qatil bana kar
uthaya hashr men bhi mujh ko us ne
saval-e-did ka saail bana kar
uda le chal hava-e-shauq mujh ko
ghubar-e-rahrav-e-manzil bana kar
nikala arzu-e-dil ko ‘anjum’
tamanna-e-dil-e-bismil bana kar
Leave a Reply